kare hai baada tire lab se kasb-e-rang-e-farogh | करे है बादा तिरे लब से कस्ब-ए-रंग-ए-फ़रोग़ - Mirza Ghalib

kare hai baada tire lab se kasb-e-rang-e-farogh
khat-e-piyaala saraasar nigah-e-gul-cheen hai

kabhi to is dil-e-shoreeda ki bhi daad mile
ki ek umr se hasrat-parast-e-baaleen hai

baja hai gar na sune naala-ha-e-bulbul-e-zaar
ki gosh-e-gul nam-e-shabnam se pamba-aageen hai

asad hai naz'a mein chal bewafa bara-e-khuda
maqaam-e-tark-e-hijaab o vida-e-tamkeen hai

करे है बादा तिरे लब से कस्ब-ए-रंग-ए-फ़रोग़
ख़त-ए-पियाला सरासर निगाह-ए-गुल-चीं है

कभी तो इस दिल-ए-शोरीदा की भी दाद मिले
कि एक उम्र से हसरत-परस्त-ए-बालीं है

बजा है गर न सुने नाला-हा-ए-बुलबुल-ए-ज़ार
कि गोश-ए-गुल नम-ए-शबनम से पमबा-आगीं है

'असद' है नज़'अ में चल बेवफ़ा बरा-ए-ख़ुदा
मक़ाम-ए-तर्क-ए-हिजाब ओ विदा-ए-तम्कीं है

- Mirza Ghalib
0 Likes

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari