nafs na anjuman-e-aarzoo se baahar kheench | नफ़स न अंजुमन-ए-आरज़ू से बाहर खींच

  - Mirza Ghalib

nafs na anjuman-e-aarzoo se baahar kheench
agar sharaab nahin intizaar-e-saaghar kheench

kamaal-e-garmi-e-saee-e-talaash-e-deed na pooch
b-rang-e-khaar mere aaine se jauhar kheench

tujhe bahaana-e-raahat hai intizaar ai dil
kiya hai kis ne ishaara ki naaz-e-bistar kheench

tiri taraf hai b-hasrat nazaara-e-nargis
b-koree-e-dil-o-chashm-e-raqeeb saaghar kheench

b-neem-ghamza ada kar haq-e-wadeeat-e-naaz
niyaam-e-parda-e-zakhm-e-jigar se khanjar kheench

mere qadah mein hai sahba-e-aatish-e-pinhan
b-roo-e-sufra kebaab-e-dil-e-samandar kheench

na kah ki taqat-e-ruswaai-e-visaal nahin
agar yahi arq-e-fitna hai mukarrar kheench

junoon-e-aaina mushtaqa-e-yak-tamaasha hai
hamaare safhe pe baal-e-paree se mistar kheench

khumaar-e-minnat-e-saaqi agar yahi hai asad
dil-e-gudaakhta ke may-kade mein saaghar kheench

नफ़स न अंजुमन-ए-आरज़ू से बाहर खींच
अगर शराब नहीं इंतिज़ार-ए-साग़र खींच

कमाल-ए-गर्मी-ए-सई-ए-तलाश-ए-दीद न पूछ
ब-रंग-ए-ख़ार मिरे आइने से जौहर खींच

तुझे बहाना-ए-राहत है इंतिज़ार ऐ दिल
किया है किस ने इशारा कि नाज़-ए-बिस्तर खींच

तिरी तरफ़ है ब-हसरत नज़ारा-ए-नर्गिस
ब-कोरी-ए-दिल-ओ-चश्म-ए-रक़ीब साग़र खींच

ब-नीम-ग़म्ज़ा अदा कर हक़-ए-वदीअत-ए-नाज़
नियाम-ए-पर्दा-ए-ज़ख़्म-ए-जिगर से ख़ंजर खींच

मिरे क़दह में है सहबा-ए-आतिश-ए-पिन्हाँ
ब-रू-ए-सुफ़रा कबाब-ए-दिल-ए-समंदर खींच

न कह कि ताक़त-ए-रुस्वाई-ए-विसाल नहीं
अगर यही अरक़-ए-फ़ित्ना है मुकर्रर खींच

जुनून-ए-आइना मुश्ताक़-ए-यक-तमाशा है
हमारे सफ़्हे पे बाल-ए-परी से मिस्तर खींच

ख़ुमार-ए-मिन्नत-ए-साक़ी अगर यही है 'असद'
दिल-ए-गुदाख़्ता के मय-कदे में साग़र खींच

  - Mirza Ghalib

Intezaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Intezaar Shayari Shayari