vo firaq aur vo visaal kahaan
vo shab-o-roz o maah-o-saal kahaan
fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise
zauq-e-nazzaara-e-jamaal kahaan
dil to dil vo dimaagh bhi na raha
shor-e-sauda-e-khatt-o-khaal kahaan
thi vo ik shakhs ke tasavvur se
ab vo raanaai-e-khayaal kahaan
aisa aasaan nahin lahu rona
dil mein taqat jigar mein haal kahaan
ham se chhoota qimaar-khaana-e-ishq
waan jo jaaven girah mein maal kahaan
fikr-e-duniya mein sar khapata hoon
main kahaan aur ye vabaal kahaan
muzmahil ho gaye qaawa ghalib
vo anaasir mein e'tidaal kahaan
bose mein vo muzaaiqa na kare
par mujhe taqat-e-sawaal kahaan
falak-e-sifla be-muhaaba hai
is sitam-gar ko infiyaal kahaan
वो फ़िराक़ और वो विसाल कहाँ
वो शब-ओ-रोज़ ओ माह-ओ-साल कहाँ
फ़ुर्सत-ए-कारोबार-ए-शौक़ किसे
ज़ौक़-ए-नज़्ज़ारा-ए-जमाल कहाँ
दिल तो दिल वो दिमाग़ भी न रहा
शोर-ए-सौदा-ए-ख़त्त-ओ-ख़ाल कहाँ
थी वो इक शख़्स के तसव्वुर से
अब वो रानाई-ए-ख़याल कहाँ
ऐसा आसाँ नहीं लहू रोना
दिल में ताक़त जिगर में हाल कहाँ
हम से छूटा क़िमार-ख़ाना-ए-इश्क़
वाँ जो जावें गिरह में माल कहाँ
फ़िक्र-ए-दुनिया में सर खपाता हूँ
मैं कहाँ और ये वबाल कहाँ
मुज़्महिल हो गए क़वा ग़ालिब
वो अनासिर में ए'तिदाल कहाँ
बोसे में वो मुज़ाइक़ा न करे
पर मुझे ताक़त-ए-सवाल कहाँ
फ़लक-ए-सिफ़्ला बे-मुहाबा है
इस सितम-गर को इंफ़िआल कहाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Visaal Shayari Shayari