dekhta hoon aise ik tasveer ko
dekhe jaise koii us kashmir ko
muddaton aata nahin vo milne par
deta hoon ilzaam main taqdeer ko
maana chhoo paana use mumkin nahin
chhod doon par kaise us ta'aamir ko
saath mere ik dua hi kaafi hai
de sukoon jo meri har ta'beer ko
kar diya azaad usne mujhko par
bhool jaaun kaise us zanjeer ko
देखता हूँ ऐसे इक तस्वीर को
देखे जैसे कोई उस कश्मीर को
मुद्दतों आता नहीं वो मिलने पर
देता हूँ इल्ज़ाम मैं तक़दीर को
माना छू पाना उसे मुमक़िन नहीं
छोड़ दूँ पर कैसे उस ता'मीर को
साथ मेरे इक दुआ ही काफ़ी है
दे सुकूँ जो मेरी हर ता'बीर को
कर दिया आज़ाद उसने मुझको पर
भूल जाऊँ कैसे उस ज़ंजीर को
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari