dar-b-dar sar-b-sar aankhon mein | दर-ब-दर सर-ब-सर आँखों में

  - Ankur Mishra

dar-b-dar sar-b-sar aankhon mein
hai tiri hi nazar aankhon mein

dekh chhoo ke hoon zinda abhi
dekh kitna hai dar aankhon mein

baad tere bhi tera raha
shaam se hai sehar aankhon mein

neend aati hai sote nahin
hai tira hi arsh aankhon mein

laut aao zamaana hua
hai tumhaara hi ghar aankhon mein

khud se khud ke liye ladta hoon
hai ajab ye hunar aankhon mein

दर-ब-दर सर-ब-सर आँखों में
है तिरी ही नज़र आँखों में

देख छू के हूँ ज़िंदा अभी
देख कितना है डर आँखों में

बाद तेरे भी तेरा रहा
शाम से है सहर आँखों में

नींद आती है सोते नहीं
है तिरा ही अरस आँखों में

लौट आओ ज़माना हुआ
है तुम्हारा ही घर आँखों में

ख़ुद से ख़ुद के लिए लड़ता हूँ
है अजब ये हुनर आँखों में

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari