haadsa ban guzar jaane ko
zinda hain ham bhi mar jaane ko
aaye kaise koii khwaab jab
raatein kahti hain dar jaane ko
thak gaya hoon main khud se bhi ab
ho rahi der ghar jaane ko
chhod do pyaasa hi mujhko tum
paar dariya ye kar jaane ko
lautna phir nahin mujhko ab
ishq mein yun hi mar jaane ko
हादसा बन गुज़र जाने को
ज़िंदा हैं हम भी मर जाने को
आए कैसे कोई ख़्वाब जब
रातें कहती हैं डर जाने को
थक गया हूँ मैं ख़ुद से भी अब
हो रही देर घर जाने को
छोड़ दो प्यासा ही मुझको तुम
पार दरिया ये कर जाने को
लौटना फिर नहीं मुझको अब
इश्क़ में यूँ ही मर जाने को
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari