is qadar darte hain apni haar se
jud nahin paate kisi kirdaar se
hai bharosa zindagi tujhpe magar
log waqif hain tire meyaar se
dekhkar jalte charaagon ko mujhe
rabt sa hota hai pahre-daar se
isliye shaayad koii ladta nahin
jeet mushkil hai dil-e-beemaar se
इस क़दर डरते हैं अपनी हार से
जुड़ नहीं पाते किसी किरदार से
है भरोसा ज़िंदगी तुझपे मगर
लोग वाक़िफ़ हैं तिरे मेयार से
देखकर जलते चराग़ों को मुझे
रब्त सा होता है पहरे-दार से
इसलिए शायद कोई लड़ता नहीं
जीत मुश्किल है दिल-ए-बीमार से
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari