mar ke bhi maut aati kahaan hai | मर के भी मौत आती कहाँ है

  - Ankur Mishra

mar ke bhi maut aati kahaan hai
zehan se yaad jaati kahaan hai

zindagi beet jaati hai pal mein
baat koii ho paati kahaan hai

raasta hai wahi uske ghar ka
par gali ab vo bhaati kahaan hai

chhodaa hai jab se ye shehar usne
ye ghatta tab se chaati kahaan hai

socha tha khudkushi kar loon lekin
aas ye chhoot paati kahaan hai

ik qadar bas gaya hai vo mujhmein
neend bhi ab to aati kahaan hai

मर के भी मौत आती कहाँ है
ज़ेहन से याद जाती कहाँ है

ज़िंदगी बीत जाती है पल में
बात कोई हो पाती कहाँ है

रास्ता है वही उसके घर का
पर गली अब वो भाती कहाँ है

छोड़ा है जब से ये शहर उसने
ये घटा तब से छाती कहाँ है

सोचा था खु़दकुशी कर लूँ लेकिन
आस ये छूट पाती कहाँ है

इक क़दर बस गया है वो मुझमें
नींद भी अब तो आती कहाँ है

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari