qais jungle mein akela hai mujhe jaane do
khoob guzregi jo mil baithege deewane do
laal dore tiri aankhon mein jo dekhe to khula
may-e-gul-rang se labreiz hain paimaane do
thehro tevari ko chadaaye hue jaate ho kidhar
dil ka sadqa to abhi sar se utar jaane do
manaa kyun karte ho ishq-e-but-e-sheereen-lab se
kya maze ka hai ye gham dosto gham khaane do
ham bhi manzil pe pahunch jaayenge marte khapte
qaafila yaaron ka jaata hai agar jaane do
ek aalam nazar aayega girftaar tumhein
apne gesoo-e-rasa taa-b-kamar jaane do
sakht-jaani se main aari hoon nihaayat ai talkh
pad gaye hain tiri shamsheer mein dandaane do
hashr mein pesh-e-khuda faisla is ka hoga
zindagi mein mujhe us gabr ko tarasaane do
gar mohabbat hai to vo mujh se firega na kabhi
gham nahin hai mujhe ghazmaaz ko bhadkaane do
waizoon ko na kare man' naseehat se koi
main na samjhoonga kisi tarah se samjhaane do
ranj deta hai jo vo paas na jaao sayyaah
maano kehne ko mere door karo jaane do
क़ैस जंगल में अकेला है मुझे जाने दो
ख़ूब गुज़रेगी जो मिल बैठेंगे दीवाने दो
लाल डोरे तिरी आंखों में जो देखे तो खुला
मय-ए-गुल-रंग से लबरेज़ हैं पैमाने दो
ठहरो तेवरी को चढ़ाए हुए जाते हो किधर
दिल का सदक़ा तो अभी सर से उतर जाने दो
मना क्यूं करते हो इश्क़-ए-बुत-ए-शीरीं-लब से
क्या मज़े का है ये ग़म दोस्तो ग़म खाने दो
हम भी मंज़िल पे पहुंच जाएंगे मरते खपते
क़ाफ़िला यारों का जाता है अगर जाने दो
एक आलम नज़र आएगा गिरफ़्तार तुम्हें
अपने गेसू-ए-रसा ता-ब-कमर जाने दो
सख़्त-जानी से मैं आरी हूँ निहायत ऐ 'तल्ख़'
पड़ गए हैं तिरी शमशीर में दंदाने दो
हश्र में पेश-ए-ख़ुदा फ़ैसला इस का होगा
ज़िंदगी में मुझे उस गब्र को तरसाने दो
गर मोहब्बत है तो वो मुझ से फिरेगा न कभी
ग़म नहीं है मुझे ग़म्माज़ को भड़काने दो
वाइ'ज़ों को न करे मनअ' नसीहत से कोई
मैं न समझूँगा किसी तरह से समझाने दो
रंज देता है जो वो पास न जाओ 'सय्याह'
मानो कहने को मिरे दूर करो जाने दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Miyan Dad Khan Sayyah
our suggestion based on Miyan Dad Khan Sayyah
As you were reading Life Shayari Shayari