tere aansoon nikal rahe hain dost | तेरे आँसूं निकल रहे हैं दोस्त - Shahzan Khan Shahzan'

tere aansoon nikal rahe hain dost
zakhm seene me pal rahe hain dost

tum hi rakho ye phool ka bistar
hum to kaanton pe chal rahe hain dost

dekh kar mujh ko door jaate hue
apni aankhon ko mal rahe hain dost

tere dil ke makaan mein rahne ko
khud ko ab hum badal rahe hain dost

mera mahtaab dekhne ke liye
saare taare machal rahe hain dost

hain wafaon ke raaste aasaan
hum to yoonhi fisal rahe hain dost

ik mehakte gulaab ki khaatir
saari kaliyaan kuchal rahe hain dost

तेरे आँसूं निकल रहे हैं दोस्त
ज़ख्म सीने मे पल रहे हैं दोस्त

तुम ही रक्खो ये फूल का बिस्तर
हम तो काँटों पे चल रहे हैं दोस्त

देख कर मुझ को दूर जाते हुए
अपनी आँखों को मल रहे हैं दोस्त

तेरे दिल के मकाँ में रहने को
ख़ुद को अब हम बदल रहे हैं दोस्त

मेरा महताब देखने के लिए
सारे तारे मचल रहे हैं दोस्त

हैं वफ़ाओं के रास्ते आसान
हम तो यूँही फिसल रहे हैं दोस्त

इक महकते गुलाब की ख़ातिर
सारी कलियाँ कुचल रहे हैं दोस्त

- Shahzan Khan Shahzan'
1 Like

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shahzan Khan Shahzan'

As you were reading Shayari by Shahzan Khan Shahzan'

Similar Writers

our suggestion based on Shahzan Khan Shahzan'

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari