sataati hain rulaati hain mujhe yaadein december ki
jagati hain jalaati hain mujhe raatein december ki
khatoon ka ik lifaafa aur kuchh tohfe mohabbat ke
salaamat hain mere locker mein saugaaten december ki
mujhe mehsoos hoti hai tumhaare lams ki garmi
mujhe sardi mein sulagaaye ye taaseeren december ki
ki jis pahluu mein tum ne gair ko apne bithaaya hai
usi pahluu mein guzri hain meri shaamen december ki
tumhaare saath mausam ka maza kuchh aur tha ab to
bahut beemaar karti hain ye barsaatein december ki
सताती हैं रुलाती हैं मुझे यादें दिसम्बर की
जगाती हैं जलाती हैं मुझे रातें दिसम्बर की
ख़तों का इक लिफ़ाफ़ा और कुछ तोहफ़े मोहब्बत के
सलामत हैं मिरे लॉकर में सौग़ातें दिसम्बर की
मुझे महसूस होती है तुम्हारे लम्स की गर्मी
मुझे सर्दी में सुलगाएँ ये तासीरें दिसम्बर की
कि जिस पहलू में तुम ने ग़ैर को अपने बिठाया है
उसी पहलू में गुज़री हैं मिरी शामें दिसम्बर की
तुम्हारे साथ मौसम का मज़ा कुछ और था अब तो
बहुत बीमार करती हैं ये बरसातें दिसम्बर की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munazzah Noor
our suggestion based on Munazzah Noor
As you were reading Relationship Shayari Shayari