abhi apne martaba-e-husn se miyaan ba-khabar tu hua nahin | अभी अपने मर्तबा-ए-हुस्न से मियाँ बा-ख़बर तू हुआ नहीं - Mushafi Ghulam Hamdani

abhi apne martaba-e-husn se miyaan ba-khabar tu hua nahin
ki ghazal-sara tire baagh mein koi murgh-e-taaza-nawa nahin

jo gali mein yaar ki jaaun hoon to ajal kahe hai ye rehm kha
tu sitam-raseeda na ja udhar koi zinda waan se fira nahin

vo ghareeb-o-be-kas-o-zaar tha tujhe us ka deta hoon main pata
tire kushta ka vo mazaar tha ki charaagh jis mein jala nahin

jo hakeem paas main jaaun hoon to vo dosti se sunaaye hai
tu ma'aash ki bhi talash kar ye maqaam-e-faqr-o-fana nahin

mujhe ishq rakhta hai sar-nigoon mera jaal poocho na kya kahoon
main habaab-e-bahr ka sheesha hoon mere tootne ki sada nahin

tire khaaksaaron ne apna sar nahin peeta dasht mein is qadar
ki bagoola waan se ghubaar ka taraf aasmaan ke gaya nahin

na naseem-e-baagh-o-bahaar hoon na fida-e-roo-e-nigaar hoon
main ghareeb-e-shehr-o-dayaar hoon meri dair o kaaba mein ja nahin

tire nakhl-e-husn ki kompalen abhi na-shagufta hain ai pari
jo naseem aayi hai us ne bhi inhen kuch samajh ke chhua nahin

tire gesuon mein jo jaati hai to mera hi haal kah aati hai
meri khasm-e-jaan bhi to is qadar ye naseem-e-naafa-kusha nahin

na main rahne waala hoon baagh ka na safeer-sanj hoon raag ka
mujhe dhunde hai so vo kis jagah kahi aashiyaan-e-huma nahin

koi zakham-khurda hai khaar ka koi khoon-tapeeda bahaar ka
hai mera hi hausla musahfi ki kisi se mujh ko gila nahin

अभी अपने मर्तबा-ए-हुस्न से मियाँ बा-ख़बर तू हुआ नहीं
कि ग़ज़ल-सरा तिरे बाग़ में कोई मुर्ग़-ए-ताज़ा-नवा नहीं

जो गली में यार की जाऊँ हूँ तो अजल कहे है ये रहम खा
तू सितम-रसीदा न जा उधर कोई ज़िंदा वाँ से फिरा नहीं

वो ग़रीब-ओ-बे-कस-ओ-ज़ार था तुझे उस का देता हूँ मैं पता
तिरे कुश्ता का वो मज़ार था कि चराग़ जिस में जला नहीं

जो हकीम पास मैं जाऊँ हूँ तो वो दोस्ती से सुनाए है
तू मआश की भी तलाश कर ये मक़ाम-ए-फ़क़्र-ओ-फ़ना नहीं

मुझे इश्क़ रखता है सर-निगूँ मिरा जाल पूछो न क्या कहूँ
मैं हबाब-ए-बहर का शीशा हूँ मिरे टूटने की सदा नहीं

तिरे ख़ाकसारों ने अपना सर नहीं पीटा दश्त में इस क़दर
कि बगूला वाँ से ग़ुबार का तरफ़ आसमाँ के गया नहीं

न नसीम-ए-बाग़-ओ-बहार हूँ न फ़िदा-ए-रू-ए-निगार हूँ
मैं ग़रीब-ए-शहर-ओ-दयार हूँ मिरी दैर ओ काबा में जा नहीं

तिरे नख़्ल-ए-हुस्न की कोंपलें अभी ना-शगुफ़्ता हैं ऐ परी
जो नसीम आई है उस ने भी इन्हें कुछ समझ के छुआ नहीं

तिरे गेसुओं में जो जाती है तो मिरा ही हाल कह आती है
मिरी ख़स्म-ए-जाँ भी तो इस क़दर ये नसीम-ए-नाफ़ा-कुशा नहीं

न मैं रहने वाला हूँ बाग़ का न सफ़ीर-संज हूँ राग का
मुझे ढूँडे है सो वो किस जगह कहीं आशियान-ए-हुमा नहीं

कोई ज़ख़्म-ख़ुर्दा है ख़ार का कोई ख़ूँ-तपीदा बहार का
है मिरा ही हौसला 'मुसहफ़ी' कि किसी से मुझ को गिला नहीं

- Mushafi Ghulam Hamdani
1 Like

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mushafi Ghulam Hamdani

As you were reading Shayari by Mushafi Ghulam Hamdani

Similar Writers

our suggestion based on Mushafi Ghulam Hamdani

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari