kai qisse adhoore rah gaye apni kahaani mein
chale aaye hain bachpan ko ganwa ke naujawaani mein
hawaaein jo bagaavat par utar aayi hain aakhir mein
kisi toofaan kii dastak hai meri zindagaani mein
nayi faslon ko ye kuchh aur se kuchh aur karte hain
gulaabon kii jo khushboo dhoondhte hai raatraani mein
hamein aakar bataate hain ujaalon kii sabhi fitrat
kabhi raushan na ho paaye the jo apni jawaani mein
tu har ik baat pe jo rooth ke jaane ko kehta hai
tira kirdaar hai behad ahem meri kahaani mein
ye mera waqt hai is waqt kii apni rawaani hai
jaga saktaa hoon apni pyaas bhi main aag-paani mein
कई क़िस्से अधूरे रह गए अपनी कहानी में
चले आए हैं बचपन को गँवा के नौजवानी में
हवाएँ जो बग़ावत पर उतर आई हैं आख़िर में
किसी तूफ़ान की दस्तक है मेरी ज़िंदगानी में
नई फ़स्लों को ये कुछ और से कुछ और करते हैं
गुलाबों की जो ख़ुशबू ढूँढ़ते है रातरानी में
हमें आकर बताते हैं उजालों की सभी फ़ितरत
कभी रौशन न हो पाए थे जो अपनी जवानी में
तू हर इक बात पे जो रूठ के जाने को कहता है
तिरा किरदार है बेहद अहम मेरी कहानी में
ये मेरा वक़्त है इस वक़्त की अपनी रवानी है
जगा सकता हूँ अपनी प्यास भी मैं आग-पानी में
As you were reading Shayari by nakul kumar
our suggestion based on nakul kumar
As you were reading undefined Shayari