koii na milega angane mein | कोई न मिलेगा अँगने में

  - nakul kumar

koii na milega angane mein
sab apne-apne kamre mein

gul jaan ganwa baitha apni
in tasveeron ko rangne mein

main sair-sapata karta hoon
kuchh waqt bitaakar kamre mein

jab yaad tujhe kar leta hoon
man lagta nahin hai marne mein

ashkon se acharaj aaya hoon
jo aag lagi hai jharne mein

ye soch muhabbat kar baithe
kuchh aasaani ho marne mein

do qaatil dekhe phoolon ne
ik maali mein ik bhanware mein

nuqsaan bahut hai apna bhi
jalne se pehle bujhne mein

कोई न मिलेगा अँगने में
सब अपने-अपने कमरे में

गुल जान गँवा बैठा अपनी
इन तस्वीरों को रँगने में

मैं सैर-सपाटा करता हूँ
कुछ वक़्त बिताकर कमरे में

जब याद तुझे कर लेता हूँ
मन लगता नहीं है मरने में

अश्कों से बुझाकर आया हूँ
जो आग लगी है झरने में

ये सोच मुहब्बत कर बैठे
कुछ आसानी हो मरने में

दो क़ातिल देखे फूलों ने
इक माली में इक भँवरे में

नुक़्सान बहुत है अपना भी
जलने से पहले बुझने में

  - nakul kumar

More by nakul kumar

As you were reading Shayari by nakul kumar

Similar Writers

our suggestion based on nakul kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari