kya kahoon kaise kahoon behaal hoon is haal mein | क्या कहूँ कैसे कहूँ बेहाल हूँ इस हाल में

  - nakul kumar

kya kahoon kaise kahoon behaal hoon is haal mein
bikwaal mein gum hoon teri yaadon ke janjaal mein

log sun kar waah-waahi karte hain har baar hi
roz hi rota hoon ab to main kisi sur-taal mein

tere dil mein ghar kiya to ye laga mujhko abhi
mera to ghar ho gaya hai kaal ke hi gaal mein

kheench li hai khaal sab khushiyon ke hi dhoondega ne
kaun kankal mujhe mere hi is zakhm-e-hayat mein

tu nahin aaya ki ab hai saal aane ko naya
phir adhoora rah gaya hoon is guzarte saal mein

laut aaya hoon samandar se isi ummeed mein
koii to machhli mile thehre hue is taal mein

ja rahi ho chhodkar mujhko jahaan aaunga main
chahti hai ik haseen mujhko tire sasuraal mein

kya karoon kya dard apne baant loon duniya se main
ghol doonga apne saare ashk is paataal mein

mujhko poora kha gaya hai dil ke darwaaze talak
bheriya phir mil gaya hai bhed kii hi khaal mein

क्या कहूँ कैसे कहूँ बेहाल हूँ इस हाल में
बेसुधी में गुम हूँ तेरी यादों के जंजाल में

लोग सुन कर वाह-वाही करते हैं हर बार ही
रोज़ ही रोता हूँ अब तो मैं किसी सुर-ताल में

तेरे दिल में घर किया तो ये लगा मुझको अभी
मेरा तो घर हो गया है काल के ही गाल में

खींच ली है खाल सब ख़ुशियों के ही बिकवाल ने
कौन ढूँढ़ेगा मुझे मेरे ही इस कंकाल में

तू नहीं आया कि अब है साल आने को नया
फिर अधूरा रह गया हूँ इस गुज़रते साल में

लौट आया हूँ समंदर से इसी उम्मीद में
कोई तो मछली मिले ठहरे हुए इस ताल में

जा रही हो छोड़कर मुझको जहाँ आऊँगा मैं
चाहती है इक हसीं मुझको तिरे ससुराल में

क्या करूँ क्या दर्द अपने बाँट लूँ दुनिया से मैं
घोल दूँगा अपने सारे अश्क इस पाताल में

मुझको पूरा खा गया है दिल के दरवाज़े तलक
भेड़िया फिर मिल गया है भेड़ की ही खाल में

  - nakul kumar

More by nakul kumar

As you were reading Shayari by nakul kumar

Similar Writers

our suggestion based on nakul kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari