main ki jo kuchh bhi nahin hoon aap mere khaas hain
dooriyaan duniya se hain do chaar hi jo paas hain
khud hi khud se kat gaya hai be-sahaara aadmi
chal rahi hai laash lekin mar chuke ehsaas hain
kal talak jo aadmi ko aadmi kahte na the
waqt kii karvat mein dekho aaj vo itihaas hain
daulaten hon shohraten hon qaamyaabi chaar-soo
aadmi dar aadmi ab sau tarah kii pyaas hain
muflisi hai bhookh hai main kha na jaaun yaar ko
pyaar kii baatein abhi mere liye bakwaas hain
मैं कि जो कुछ भी नहीं हूँ आप मेरे ख़ास हैं
दूरियाँ दुनिया से हैं दो चार ही जो पास हैं
ख़ुद ही ख़ुद से कट गया है बे-सहारा आदमी
चल रही है लाश लेकिन मर चुके एहसास हैं
कल तलक जो आदमी को आदमी कहते न थे
वक़्त की करवट में देखो आज वो इतिहास हैं
दौलतें हों शोहरतें हों क़ामयाबी चार-सू
आदमी दर आदमी अब सौ तरह की प्यास हैं
मुफ़्लिसी है भूख है मैं खा न जाऊँ यार को
प्यार की बातें अभी मेरे लिए बकवास हैं
As you were reading Shayari by nakul kumar
our suggestion based on nakul kumar
As you were reading undefined Shayari