ranjishen sab chhod deen sabse ladai chhod di | रंजिशें सब छोड़ दीं सबसे लड़ाई छोड़ दी

  - Nashir Naqvi

ranjishen sab chhod deen sabse ladai chhod di
aib tha sach bolna maine buraai chhod di

koo-e-jaanaan mein bhala ab dekhne ko kya bacha
sun raha hoon aapne bhi bewafaai chhod di

zehan mein ubhre the yun hi bewafa yaaron ke naam
likhte likhte kyun qalam ne roshnai chhod di

hamse poocho kis liye khaali khazaane ho gaye
shahzaadon ne faqeeron kii gadaai chhod di

रंजिशें सब छोड़ दीं सबसे लड़ाई छोड़ दी
ऐब था सच बोलना मैंने बुराई छोड़ दी

कू-ए-जानाँ में भला अब देखने को क्या बचा
सुन रहा हूँ आपने भी बेवफ़ाई छोड़ दी

ज़ेहन में उभरे थे यूँ ही बेवफ़ा यारों के नाम
लिखते लिखते क्यूँ क़लम ने रौशनाई छोड़ दी

हमसे पूछो किस लिए ख़ाली ख़ज़ाने हो गए
शाहज़ादों ने फ़क़ीरों की गदाई छोड़ दी

  - Nashir Naqvi

More by Nashir Naqvi

As you were reading Shayari by Nashir Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Nashir Naqvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari