chha gaya sar pe mere gard ka dhundla baadal | छा गया सर पे मिरे गर्द का धुँदला बादल

  - Nashtar Khaanqahi

chha gaya sar pe mere gard ka dhundla baadal
ab ke saawan bhi gaya mujh pe na barsa baadal

seep bujhte hue suraj ki taraf dekhte hain
kaisi barsaat meri jaan kahaan ka baadal

vo bhi din the ki tapkata tha chhato se paharon
ab ke pal bhar bhi munderon pe na thehra baadal

farsh par gir ke bikharta raha paare ki tarah
sabz baagon mein mere ba'ad na jhoola baadal

laakh chaaha na mili pyaar ki pyaasi aaghosh
ghar ki deewaar se sar phod ke roya baadal

aaj ki shab bhi jahannam mein sulagte hi kati
aaj ki shab bhi to bottle se na chhalaka baadal

छा गया सर पे मिरे गर्द का धुँदला बादल
अब के सावन भी गया मुझ पे न बरसा बादल

सीप बुझते हुए सूरज की तरफ़ देखते हैं
कैसी बरसात मिरी जान कहाँ का बादल

वो भी दिन थे कि टपकता था छतों से पहरों
अब के पल भर भी मुंडेरों पे न ठहरा बादल

फ़र्श पर गिर के बिखरता रहा पारे की तरह
सब्ज़ बाग़ों में मिरे बा'द न झूला बादल

लाख चाहा न मिली प्यार की प्यासी आग़ोश
घर की दीवार से सर फोड़ के रोया बादल

आज की शब भी जहन्नम में सुलगते ही कटी
आज की शब भी तो बोतल से न छलका बादल

  - Nashtar Khaanqahi

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nashtar Khaanqahi

As you were reading Shayari by Nashtar Khaanqahi

Similar Writers

our suggestion based on Nashtar Khaanqahi

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari