khush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha | ख़ुश-फ़हमियों को दर्द का रिश्ता अज़ीज़ था

  - Nashtar Khaanqahi

khush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha
kaaghaz ki naav thi jise dariya aziz tha

ai tangi-e-dayaar-e-tamanna bata mujhe
vo paanv kya hue jinhen sehra aziz tha

poocho na kuchh ki shehar mein tum ho naye naye
ik din mujhe bhi sair o tamasha aziz tha

be-aas intizaar o tavakko baghair shak
ab tum se kya kahein hamein kya kya aziz tha

waada-khilaafiyon pe tha shikvon ka inhisaar
jhoota sahi magar mujhe vaada aziz tha

ik rasm-e-bewafai thi vo bhi hui tamaam
vo yaar-e-bewafa mujhe kitna aziz tha

yaadein mujhe na jurm-e-taalluq ki den saza
mera koi na main hi kisi ka aziz tha

ख़ुश-फ़हमियों को दर्द का रिश्ता अज़ीज़ था
काग़ज़ की नाव थी जिसे दरिया अज़ीज़ था

ऐ तंगी-ए-दयार-ए-तमन्ना बता मुझे
वो पाँव क्या हुए जिन्हें सहरा अज़ीज़ था

पूछो न कुछ कि शहर में तुम हो नए नए
इक दिन मुझे भी सैर ओ तमाशा अज़ीज़ था

बे-आस इंतिज़ार ओ तवक़्क़ो बग़ैर शक
अब तुम से क्या कहें हमें क्या क्या अज़ीज़ था

वादा-ख़िलाफ़ियों पे था शिकवों का इंहिसार
झूटा सही मगर मुझे वादा अज़ीज़ था

इक रस्म-ए-बेवफ़ाई थी वो भी हुई तमाम
वो यार-ए-बेवफ़ा मुझे कितना अज़ीज़ था

यादें मुझे न जुर्म-ए-तअल्लुक़ की दें सज़ा
मेरा कोई न मैं ही किसी का अज़ीज़ था

  - Nashtar Khaanqahi

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nashtar Khaanqahi

As you were reading Shayari by Nashtar Khaanqahi

Similar Writers

our suggestion based on Nashtar Khaanqahi

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari