jab zara tez hawa hoti hai | जब ज़रा तेज़ हवा होती है - Nasir Kazmi

jab zara tez hawa hoti hai
kaisi sunsaan fazaa hoti hai

ham ne dekhe hain vo sannaate bhi
jab har ik saans sada hoti hai

dil ka ye haal hua tere baad
jaise veeraan sara hoti hai

rona aata hai hamein bhi lekin
is mein tauheen-e-wafa hoti hai

munh-andhere kabhi uth kar dekho
kya tar o taaza hawa hoti hai

ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath
kis qadar tez hawa hoti hai

gham ke be-noor guzargaahon mein
ik kiran zauq-faza hoti hai

gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa
miza-e-aabla-pa hoti hai

gulshan-e-fikr ki munh-band kali
shab-e-mehtaab mein vaa hoti hai

jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul
munh pe shabnam ki rida hoti hai

haadsa hai ki khizaan se pehle
boo-e-gul gul se juda hoti hai

ik naya daur janam leta hai
ek tahzeeb fana hoti hai

jab koi gham nahin hota naasir
bekli dil ki siva hoti hai

जब ज़रा तेज़ हवा होती है
कैसी सुनसान फ़ज़ा होती है

हम ने देखे हैं वो सन्नाटे भी
जब हर इक साँस सदा होती है

दिल का ये हाल हुआ तेरे बाद
जैसे वीरान सरा होती है

रोना आता है हमें भी लेकिन
इस में तौहीन-ए-वफ़ा होती है

मुँह-अँधेरे कभी उठ कर देखो
क्या तर ओ ताज़ा हवा होती है

अजनबी ध्यान की हर मौज के साथ
किस क़दर तेज़ हवा होती है

ग़म के बे-नूर गुज़रगाहों में
इक किरन ज़ौक़-फ़ज़ा होती है

ग़म-गुसार-ए-सफ़र-ए-राह-ए-वफ़ा
मिज़ा-ए-आबला-पा होती है

गुलशन-ए-फ़िक्र की मुँह-बंद कली
शब-ए-महताब में वा होती है

जब निकलती है निगार-ए-शब-ए-गुल
मुँह पे शबनम की रिदा होती है

हादसा है कि ख़िज़ाँ से पहले
बू-ए-गुल गुल से जुदा होती है

इक नया दौर जनम लेता है
एक तहज़ीब फ़ना होती है

जब कोई ग़म नहीं होता 'नासिर'
बेकली दिल की सिवा होती है

- Nasir Kazmi
1 Like

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nasir Kazmi

As you were reading Shayari by Nasir Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Nasir Kazmi

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari