shehar sunsaan hai kidhar jaayein
khaak ho kar kahi bikhar jaayein
raat kitni guzar gai lekin
itni himmat nahin ki ghar jaayein
yoon tire dhyaan se larzata hoon
jaise patte hawa se dar jaayein
un ujaalon ki dhun mein firta hoon
chhab dikhaate hi jo guzar jaayein
rain andheri hai aur kinaara door
chaand nikle to paar utar jaayein
शहर सुनसान है किधर जाएं
ख़ाक हो कर कहीं बिखर जाएं
रात कितनी गुज़र गई लेकिन
इतनी हिम्मत नहीं कि घर जाएं
यूं तिरे ध्यान से लरज़ता हूं
जैसे पत्ते हवा से डर जाएं
उन उजालों की धुन में फिरता हूं
छब दिखाते ही जो गुज़र जाएं
रैन अंधेरी है और किनारा दूर
चांद निकले तो पार उतर जाएं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nasir Kazmi
our suggestion based on Nasir Kazmi
As you were reading Khushboo Shayari Shayari