har aan tumhaare chhupne se aisa hi agar dukh paayenge ham | हर आन तुम्हारे छुपने से ऐसा ही अगर दुख पाएँगे हम - Nazeer Akbarabadi

har aan tumhaare chhupne se aisa hi agar dukh paayenge ham
to haar ke ik din is ki bhi tadbeer koi thahraayenge ham

bezaar karenge khaatir ko pehle to tumhaari chaahat se
phir dil ko bhi kuchh minnat se kuchh haibat se samjhaayenge ham

gar kehna dil ne maan liya aur ruk baitha to behtar hai
aur chain na lene devega to bhes badal kar aayenge ham

awwal to nahin pehchaanoge aur loge bhi pehchaan to phir
har taur se chhup kar dekhenge aur dil ko khush kar jaayenge ham

gar chhupna bhi khul jaavega to mil kar afsoon-saazon se
kuchh aur hi latka seher-bhara us waqt bahm pahunchaayenge ham

jab vo bhi pesh na jaavega aur shohrat hovegi phir to
jis soorat se ban aavega tasveer khincha mangwaayenge ham

mauqoof karoge chhupne ko to behtar warna nazeer aasa
jo harf zabaan par laayenge phir vo hi kar dikhlaayenge ham

हर आन तुम्हारे छुपने से ऐसा ही अगर दुख पाएँगे हम
तो हार के इक दिन इस की भी तदबीर कोई ठहराएँगे हम

बेज़ार करेंगे ख़ातिर को पहले तो तुम्हारी चाहत से
फिर दिल को भी कुछ मिन्नत से कुछ हैबत से समझाएँगे हम

गर कहना दिल ने मान लिया और रुक बैठा तो बहत्तर है
और चैन न लेने देवेगा तो भेस बदल कर आएँगे हम

अव्वल तो नहीं पहचानोगे और लोगे भी पहचान तो फिर
हर तौर से छुप कर देखेंगे और दिल को ख़ुश कर जाएँगे हम

गर छुपना भी खुल जावेगा तो मिल कर अफ़्सूँ-साज़ों से
कुछ और ही लटका सेहर-भरा उस वक़्त बहम पहुँचाएँगे हम

जब वो भी पेश न जावेगा और शोहरत होवेगी फिर तो
जिस सूरत से बन आवेगा तस्वीर खिंचा मंंगवाएँगे हम

मौक़ूफ़ करोगे छुपने को तो बेहतर वर्ना 'नज़ीर' आसा
जो हर्फ़ ज़बाँ पर लाएँगे फिर वो ही कर दिखलाएँगे हम

- Nazeer Akbarabadi
0 Likes

Shohrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazeer Akbarabadi

As you were reading Shayari by Nazeer Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Nazeer Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Shohrat Shayari Shayari