zihaanaton ko kahaan karb se firaar mila
jise nigaah mili us ko intizaar mila
vo koi raah ka patthar ho ya haseen manzar
jahaan bhi raasta thehra wahin mazaar mila
koi pukaar raha tha khuli fazaaon se
nazar uthaai to chaaron taraf hisaar mila
har ek saans na jaane thi justuju kis ki
har ik dayaar musaafir ko be-dayaar mila
ye shehar hai ki numaish lagi hui hai koi
jo aadmi bhi mila ban ke ishtehaar mila
ज़िहानतों को कहाँ कर्ब से फ़रार मिला
जिसे निगाह मिली उस को इंतिज़ार मिला
वो कोई राह का पत्थर हो या हसीं मंज़र
जहाँ भी रास्ता ठहरा वहीं मज़ार मिला
कोई पुकार रहा था खुली फ़ज़ाओं से
नज़र उठाई तो चारों तरफ़ हिसार मिला
हर एक साँस न जाने थी जुस्तुजू किस की
हर इक दयार मुसाफ़िर को बे-दयार मिला
ये शहर है कि नुमाइश लगी हुई है कोई
जो आदमी भी मिला बन के इश्तिहार मिला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Raasta Shayari Shayari