ek tasveer | "एक तस्वीर"

  - Nida Fazli

ek tasveer

subh ki dhoop
dhuli shaam ka roop
faakhtaon ki tarah soch mein doobe taalaab
ajnabi shehar ke aakaash
andheron ki kitaab
paathshaala mein chahakte hue maasoom gulaab
ghar ke aangan ki mahak
bahte paani ki khanak
saath rangon ki dhanak
tum ko dekha to nahin hai
lekin
meri tanhaai mein
ye rang-birange manzar
jo bhi tasveer banaate hain
vo
tum jaisi hai

"एक तस्वीर"

सुब्ह की धूप
धुली शाम का रूप
फ़ाख़्ताओं की तरह सोच में डूबे तालाब
अजनबी शहर के आकाश
अँधेरों की किताब
पाठशाला में चहकते हुए मासूम गुलाब
घर के आँगन की महक
बहते पानी की खनक
सात रंगों की धनक
तुम को देखा तो नहीं है
लेकिन
मेरी तंहाई में
ये रंग-बिरंगे मंज़र
जो भी तस्वीर बनाते हैं
वो!
तुम जैसी है

  - Nida Fazli

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari