intizaar | "इंतिज़ार" - Nida Fazli

intizaar

muddatein beet gaeein
tum nahin aayein ab tak
roz suraj ke biyaabaan mein
bhatkati hai hayaat
chaand ke ghaar mein
thak-haar ke so jaati hai raat
phool kuchh der mahakta hai
bikhar jaata hai
har nasha
lehar banaane mein utar jaata hai
waqt
be-chehra hawaon sa guzar jaata hai
kisi awaaz ke sabze mein lahak jaisi tum
kisi khaamosh tabassum mein chamak jaisi tum
kisi chehre mein mehkati hui aankhon jaisi
kahi abroo kahi gesu kahi baanhon jaisi
chaand se
phool talak
yun to tumheen tum ho magar
tum koi chehra koi jism koi naam nahin
tum jahaan bhi ho
adhuri ho haqeeqat ki tarah
tum koi khwaab nahin ho
jo mukammal hogi

"इंतिज़ार"

मुद्दतें बीत गईं
तुम नहीं आईं अब तक
रोज़ सूरज के बयाबाँ में
भटकती है हयात
चाँद के ग़ार में
थक-हार के सो जाती है रात
फूल कुछ देर महकता है
बिखर जाता है
हर नशा
लहर बनाने में उतर जाता है
वक़्त!
बे-चेहरा हवाओं सा गुज़र जाता है
किसी आवाज़ के सब्ज़े में लहक जैसी तुम
किसी ख़ामोश तबस्सुम में चमक जैसी तुम
किसी चेहरे में महकती हुई आँखों जैसी
कहीं अबरू कहीं गेसू कहीं बाँहों जैसी
चाँद से
फूल तलक
यूँ तो तुम्हीं तुम हो मगर
तुम कोई चेहरा कोई जिस्म कोई नाम नहीं
तुम जहाँ भी हो
अधूरी हो हक़ीक़त की तरह
तुम कोई ख़्वाब नहीं हो
जो मुकम्मल होगी

- Nida Fazli
2 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari