raat ke ba'ad naye din ki sehar aayegi | रात के बा'द नए दिन की सहर आएगी

  - Nida Fazli

raat ke ba'ad naye din ki sehar aayegi
din nahin badlega taarikh badal jaayegi

hanste hanste kabhi thak jaao to chhup ke ro lo
ye hasi bheeg ke kuchh aur chamak jaayegi

jagmagaati hui sadkon pe akela na firo
shaam aayegi kisi mod pe das jaayegi

aur kuchh der yoonhi jang siyaasat mazhab
aur thak jaao abhi neend kahaan aayegi

meri gurbat ko sharaafat ka abhi naam na de
waqt badla to tiri raay badal jaayegi

waqt nadiyon ko uchaale ki udaaye parbat
umr ka kaam guzarna hai guzar jaayegi

रात के बा'द नए दिन की सहर आएगी
दिन नहीं बदलेगा तारीख़ बदल जाएगी

हँसते हँसते कभी थक जाओ तो छुप के रो लो
ये हँसी भीग के कुछ और चमक जाएगी

जगमगाती हुई सड़कों पे अकेले न फिरो
शाम आएगी किसी मोड़ पे डस जाएगी

और कुछ देर यूँही जंग सियासत मज़हब
और थक जाओ अभी नींद कहाँ आएगी

मेरी ग़ुर्बत को शराफ़त का अभी नाम न दे
वक़्त बदला तो तिरी राय बदल जाएगी

वक़्त नदियों को उछाले कि उड़ाए पर्बत
उम्र का काम गुज़रना है गुज़र जाएगी

  - Nida Fazli

Political Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Political Shayari Shayari