khel | "खेल"

  - Nida Fazli

khel

aao
kahi se thodi si mitti bhar laayein
mitti ko baadal mein goondhe
naye naye aakaar banaayein
kisi ke sar pe chutiya rakh den
maathe oopar tilak sajaayein
kisi ke chhote se chehre par
moti si daadhi failaayen
kuchh din in se jee bahlaaen
aur ye jab maile ho jaayen
daadhi choti tilak sabhi ko
tod-fod ke gad-mad kar den
mili-juli ye mitti phir se
alag alag saancho mein bhar den
naye naye aakaar banaayein
daadhi mein choti lehraaye
choti mein daadhi chhup jaaye
kis mein kitna kaun chhapa hai
kaun bataaye

"खेल"

आओ
कहीं से थोड़ी सी मिट्टी भर लाएँ
मिट्टी को बादल में गूँधें
नए नए आकार बनाएँ
किसी के सर पे चुटिया रख दें
माथे ऊपर तिलक सजाएँ
किसी के छोटे से चेहरे पर
मोटी सी दाढ़ी फैलाएँ
कुछ दिन इन से जी बहलाएँ
और ये जब मैले हो जाएँ
दाढ़ी चोटी तिलक सभी को
तोड़-फोड़ के गड-मड कर दें
मिली-जुली ये मिट्टी फिर से
अलग अलग साँचों में भर दें
नए नए आकार बनाएँ
दाढ़ी में चोटी लहराए
चोटी में दाढ़ी छुप जाए
किस में कितना कौन छपा है
कौन बताए

  - Nida Fazli

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari