mor naach | "मोर नाच"

  - Nida Fazli

mor naach

dekhte dekhte
us ke chaaron taraf
saath rangon ka resham bikharna laga
dheeme dheeme kai khidkiyaan si khuliin
farfadaati hui fakhtaayein udeen
badliyaan chha gaeein
bijliyon ki lakeeren chamakne lagin
saari banjar zameenen hari ho gaeein
naachte naachte
mor ki aankh se
pehla aansu gira
khoobsurat sajeelay paron ki dhanak
toot kar tukda tukda bikharna lagi
phir fazaaon se jungle barsne laga
dekhte dekhte

"मोर नाच"

देखते देखते
उस के चारों तरफ़
सात रंगों का रेशम बिखरने लगा
धीमे धीमे कई खिड़कियाँ सी खुलीं
फड़फड़ाती हुई फ़ाख़ताएँ उड़ीं
बदलियाँ छा गईं
बिजलियों की लकीरें चमकने लगीं
सारी बंजर ज़मीनें हरी हो गईं
नाचते नाचते
मोर की आँख से
पहला आँसू गिरा
ख़ूबसूरत सजीले परों की धनक
टूट कर टुकड़ा टुकड़ा बिखरने लगी
फिर फ़ज़ाओं से जंगल बरसने लगा
देखते देखते

  - Nida Fazli

haseen Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading haseen Shayari Shayari