is se pehle ki mujhe waqt alahida rakh de | इस से पहले कि मुझे वक़्त अलाहिदा रख दे - Nisar Nasik

is se pehle ki mujhe waqt alahida rakh de
mere honton pe mere naam ka bosa rakh de

halq se ab to utarta nahin ashkon ka namak
ab kisi aur ki gardan pe ye duniya rakh de

raushni apni shabaahat hi bhula de na kahi
apne suraj ke sirhaane mera saaya rakh de

tu kahaan le ke phiregi meri taqdeer ka bojh
meri palkon pe shab-e-hijr ye taara rakh de

mujh se le le mere qiston pe khareede hue din
mere lamhe mein mera saara zamaana rakh de

hum jo chalte hain to khud banta chala jaata hai
laakh mitti mein chhupa kar koi rasta rakh de

hum ko aazaadi mili bhi to kuch aise nasik
jaise kamre se koi sehan mein pinjra rakh de

इस से पहले कि मुझे वक़्त अलाहिदा रख दे
मेरे होंटों पे मिरे नाम का बोसा रख दे

हल्क़ से अब तो उतरता नहीं अश्कों का नमक
अब किसी और की गर्दन पे ये दुनिया रख दे

रौशनी अपनी शबाहत ही भुला दे न कहीं
अपने सूरज के सिरहाने मिरा साया रख दे

तू कहाँ ले के फिरेगी मिरी तक़दीर का बोझ
मेरी पलकों पे शब-ए-हिज्र ये तारा रख दे

मुझ से ले ले मिरे क़िस्तों पे ख़रीदे हुए दिन
मेरे लम्हे में मिरा सारा ज़माना रख दे

हम जो चलते हैं तो ख़ुद बनता चला जाता है
लाख मिट्टी में छुपा कर कोई रस्ता रख दे

हम को आज़ादी मिली भी तो कुछ ऐसे 'नासिक'
जैसे कमरे से कोई सेहन में पिंजरा रख दे

- Nisar Nasik
0 Likes

Aazaadi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nisar Nasik

As you were reading Shayari by Nisar Nasik

Similar Writers

our suggestion based on Nisar Nasik

Similar Moods

As you were reading Aazaadi Shayari Shayari