aadhi aadhi raat tak sadkon ke chakkar kaatiye | आधी आधी रात तक सड़कों के चक्कर काटिए

  - Nisar Nasik

aadhi aadhi raat tak sadkon ke chakkar kaatiye
shaayri bhi ik saza hai zindagi bhar kaatiye

shab gaye beemaar logon ko jagaana zulm hai
aap hi mazloom baniye raat baahar kaatiye

jaal ke andar bhi main tadapunga cheekhoonga zaroor
mujh se khaif hain to meri soch ke par kaatiye

koi to ho jis se us zalim ki baatein kijie
chaudahveen ka chaand ho to raat chat par kaatiye

rone waali baat bhi ho to lateefa jaaniye
umr ke din kaatne hi hain to hans kar kaatiye

आधी आधी रात तक सड़कों के चक्कर काटिए
शाइरी भी इक सज़ा है ज़िंदगी भर काटिए

शब गए बीमार लोगों को जगाना ज़ुल्म है
आप ही मज़लूम बनिए रात बाहर काटिए

जाल के अंदर भी मैं तड़पूँगा चीख़ूँगा ज़रूर
मुझ से ख़ाइफ़ हैं तो मेरी सोच के पर काटिए

कोई तो हो जिस से उस ज़ालिम की बातें कीजिए
चौदहवीं का चाँद हो तो रात छत पर काटिए

रोने वाली बात भी हो तो लतीफ़ा जानिए
उम्र के दिन काटने ही हैं तो हँस कर काटिए

  - Nisar Nasik

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nisar Nasik

As you were reading Shayari by Nisar Nasik

Similar Writers

our suggestion based on Nisar Nasik

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari