ab to firaq-e-subh mein bujhne lagi hayaat | अब तो फ़िराक़-ए-सुब्ह में बुझने लगी हयात

  - Obaidullah Aleem

ab to firaq-e-subh mein bujhne lagi hayaat
baar-e-ilaah kitne pahar rah gai hai raat

har teergi mein tu ne utaari hai raushni
ab khud utar ke aa ki siyah-tar hai kaayenaat

kuchh aaine se rakhe hue hain sar-e-vajood
aur in mein apna jashn manaati hai meri zaat

bole nahin vo harf jo eimaan mein na the
likkhi nahin vo baat jo apni nahin thi baat

अब तो फ़िराक़-ए-सुब्ह में बुझने लगी हयात
बार-ए-इलाह कितने पहर रह गई है रात

हर तीरगी में तू ने उतारी है रौशनी
अब ख़ुद उतर के आ कि सियह-तर है काएनात

कुछ आईने से रक्खे हुए हैं सर-ए-वजूद
और इन में अपना जश्न मनाती है मेरी ज़ात

बोले नहीं वो हर्फ़ जो ईमान में न थे
लिक्खी नहीं वो बात जो अपनी नहीं थी बात

  - Obaidullah Aleem

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari