nahin tha koi gila aag ko rawaani se
hawa thi jis ne liya intiqaam paani se
payaam aate rahe jaa-e-la-makaani se
gaya na koi jawaab is sara-e-faani se
kahaan ke dasht qadamat hi kho gai ab to
pale-badhe hain ye shehron ki meherbaani se
hayaat phir se chali ladkhada ke masti mein
sambhal gai thi kisi marg-e-na-gahaani se
fahar ke paal khuli naav ki sar-e-mastool
safeer taaza hue baad-e-baadbaani se
hata na leejiyo mehfil mein mujh se apni nigaah
nishista hoon main isee baar ki giraani se
junoon mera karishma hai ai khuda mera naam
juda hi rakh kisi ummat ki raaegaani se
नहीं था कोई गिला आग को रवानी से
हवा थी जिस ने लिया इंतिक़ाम पानी से
पयाम आते रहे जा-ए-ला-मकानी से
गया न कोई जवाब इस सरा-ए-फ़ानी से
कहाँ के दश्त क़दामत ही खो गई अब तो
पले-बढ़े हैं ये शहरों की मेहरबानी से
हयात फिर से चली लड़खड़ा के मस्ती में
सँभल गई थी किसी मर्ग-ए-ना-गहानी से
फहर के पाल खुली नाव की सर-ए-मस्तूल
सफ़ीर ताज़ा हुए बाद-ए-बादबानी से
हटा न लीजियो महफ़िल में मुझ से अपनी निगह
निशिस्ता हूँ मैं इसी बार की गिरानी से
जुनून मेरा करिश्मा है ऐ ख़ुदा मिरा नाम
जुदा ही रख किसी उम्मत की राएगानी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pallav Mishra
our suggestion based on Pallav Mishra
As you were reading Jashn Shayari Shayari