sabaat-e dil tha magar be-qaraar ho gaya tha | सबात-ए -दिल था मगर बे-क़रार हो गया था

  - Pallav Mishra

sabaat-e dil tha magar be-qaraar ho gaya tha
vo noor meri hararat se naar ho gaya tha

sabaat dil tha magar be-qaraar ho gaya tha
vo noor meri hararat se naar ho gaya tha

hawa chali hi nahin ai mahaaz-e-raahguzar
vagarna khaak ka putla ghubaar ho gaya tha

jab us ki dhoop ne dekhi hamaari sooryamukhi
hamaara naam gulon mein shumaar ho gaya tha

kahaan khabar thi ki ye marhala bhi mushkil hai
ki main to pehli hi koshish mein paar ho gaya tha

pata chala ki koi dil tha dil ke andar bhi
kisi ka gham mein mere intishaar ho gaya tha

khunuk se qatl hui ik sada-e-teer-kushi
bas itni baat thi mera shikaar ho gaya tha

hazaar haif ke mubham hui meri duniya
hazaar shukr ki tu aashkaar ho gaya tha

hazaar haif ki pazmurda ho gaeein aankhen
hazaar shukr tira intizaar ho gaya tha

सबात-ए -दिल था मगर बे-क़रार हो गया था
वो नूर मेरी हरारत से नार हो गया था

सबात दिल था मगर बे-क़रार हो गया था
वो नूर मेरी हरारत से नार हो गया था

हवा चली ही नहीं ऐ महाज़-ए-राहगुज़र
वगर्ना ख़ाक का पुतला ग़ुबार हो गया था

जब उस की धूप ने देखी हमारी सूर्यमुखी
हमारा नाम गुलों में शुमार हो गया था

कहाँ ख़बर थी कि ये मरहला भी मुश्किल है
कि मैं तो पहली ही कोशिश में पार हो गया था

पता चला कि कोई दिल था दिल के अंदर भी
किसी का ग़म में मिरे इंतिशार हो गया था

ख़ुनुक से क़त्ल हुई इक सदा-ए-तीर-कुशी
बस इतनी बात थी मेरा शिकार हो गया था

हज़ार हैफ़ के मुबहम हुई मिरी दुनिया
हज़ार शुक्र कि तू आश्कार हो गया था

हज़ार हैफ़ कि पज़मुर्दा हो गईं आँखें
हज़ार शुक्र तिरा इंतिज़ार हो गया था

  - Pallav Mishra

Intezaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Pallav Mishra

As you were reading Shayari by Pallav Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Pallav Mishra

Similar Moods

As you were reading Intezaar Shayari Shayari