apni ruswaai tire naam ka charcha dekhoon | अपनी रुस्वाई तिरे नाम का चर्चा देखूँ

  - Parveen Shakir

apni ruswaai tire naam ka charcha dekhoon
ik zara sher kahoon aur main kya kya dekhoon

neend aa jaaye to kya mahfilein barpa dekhoon
aankh khul jaaye to tanhaai ka sehra dekhoon

shaam bhi ho gai dhundla gaeein aankhen bhi meri
bhoolne waale main kab tak tira rasta dekhoon

ek ik kar ke mujhe chhod gaeein sab sakhiyaan
aaj main khud ko tiri yaad mein tanhaa dekhoon

kaash sandal se meri maang ujaale aa kar
itne ghairoon mein wahi haath jo apna dekhoon

tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyun tere liye dil ko dhadakna dekhoon

band kar ke meri aankhen vo sharaarat se hanse
bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhoon

sab ziden us ki main poori karoon har baat sunoon
ek bacche ki tarah se use hansta dekhoon

mujh pe chha jaaye vo barsaat ki khushboo ki tarah
ang ang apna isee rut mein mahakta dekhoon

phool ki tarah mere jism ka har lab khul jaaye
pankhudi pankhudi un honton ka saaya dekhoon

main ne jis lamhe ko pooja hai use bas ik baar
khwaab ban kar tiri aankhon mein utarta dekhoon

tu meri tarah se yaktaa hai magar mere habeeb
jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhoon

toot jaayen ki pighal jaayen mere kacche ghade
tujh ko main dekhoon ki ye aag ka dariya dekhoon

अपनी रुस्वाई तिरे नाम का चर्चा देखूँ
इक ज़रा शेर कहूँ और मैं क्या क्या देखूँ

नींद आ जाए तो क्या महफ़िलें बरपा देखूँ
आँख खुल जाए तो तन्हाई का सहरा देखूँ

शाम भी हो गई धुँदला गईं आँखें भी मिरी
भूलने वाले मैं कब तक तिरा रस्ता देखूँ

एक इक कर के मुझे छोड़ गईं सब सखियाँ
आज मैं ख़ुद को तिरी याद में तन्हा देखूँ

काश संदल से मिरी माँग उजाले आ कर
इतने ग़ैरों में वही हाथ जो अपना देखूँ

तू मिरा कुछ नहीं लगता है मगर जान-ए-हयात
जाने क्यूँ तेरे लिए दिल को धड़कना देखूँ

बंद कर के मिरी आँखें वो शरारत से हँसे
बूझे जाने का मैं हर रोज़ तमाशा देखूँ

सब ज़िदें उस की मैं पूरी करूँ हर बात सुनूँ
एक बच्चे की तरह से उसे हँसता देखूँ

मुझ पे छा जाए वो बरसात की ख़ुश्बू की तरह
अंग अंग अपना इसी रुत में महकता देखूँ

फूल की तरह मिरे जिस्म का हर लब खुल जाए
पंखुड़ी पंखुड़ी उन होंटों का साया देखूँ

मैं ने जिस लम्हे को पूजा है उसे बस इक बार
ख़्वाब बन कर तिरी आँखों में उतरता देखूँ

तू मिरी तरह से यकता है मगर मेरे हबीब
जी में आता है कोई और भी तुझ सा देखूँ

टूट जाएँ कि पिघल जाएँ मिरे कच्चे घड़े
तुझ को मैं देखूँ कि ये आग का दरिया देखूँ

  - Parveen Shakir

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari