mushkil hai ki ab shehar mein nikle koi ghar se
dastaar pe baat aa gai hoti hui sar se
barsa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarse
kal raat jo eendhan ke liye kat ke gira hai
chidiyon ko bada pyaar tha us boodhe shajar se
mehnat meri aandhi se to mansoob nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se
khud apne se milne ka to yaara na tha mujh mein
main bheed mein gum ho gai tanhaai ke dar se
be-naam masafat hi muqaddar hai to kya gham
manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar se
pathraaya hai dil yun ki koi ism padha jaaye
ye shehar nikalta nahin jaadu ke asar se
nikle hain to raaste mein kahi shaam bhi hogi
suraj bhi magar aayega is raahguzaar se
मुश्किल है कि अब शहर में निकले कोई घर से
दस्तार पे बात आ गई होती हुई सर से
बरसा भी तो किस दश्त के बे-फ़ैज़ बदन पर
इक उम्र मिरे खेत थे जिस अब्र को तरसे
कल रात जो ईंधन के लिए कट के गिरा है
चिड़ियों को बड़ा प्यार था उस बूढ़े शजर से
मेहनत मिरी आँधी से तो मंसूब नहीं थी
रहना था कोई रब्त शजर का भी समर से
ख़ुद अपने से मिलने का तो यारा न था मुझ में
मैं भीड़ में गुम हो गई तन्हाई के डर से
बे-नाम मसाफ़त ही मुक़द्दर है तो क्या ग़म
मंज़िल का तअ'य्युन कभी होता है सफ़र से
पथराया है दिल यूँ कि कोई इस्म पढ़ा जाए
ये शहर निकलता नहीं जादू के असर से
निकले हैं तो रस्ते में कहीं शाम भी होगी
सूरज भी मगर आएगा इस रहगुज़र से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Dard Shayari Shayari