apni tanhaai mere naam pe aabaad kare
kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare
dil ajab shehar ki jis par bhi khula dar is ka
vo musaafir ise har samt se barbaad kare
apne qaateel ki zehaanat se pareshaan hoon main
roz ik maut naye tarz ki ijaad kare
itna hairaan ho meri be-talbi ke aage
vaa qafas mein koi dar khud mera sayyaad kare
salb-e-beenaai ke ahkaam mile hain jo kabhi
raushni choone ki khwaahish koi shab-zaad kare
soch rakhna bhi jaraaem mein hai shaamil ab to
wahi maasoom hai har baat pe jo saad kare
jab lahu bol pade us ke gawaahon. ke khilaaf
qaazi-e-shehr kuchh is baab mein irshaad kare
us ki mutthi mein bahut roz raha mera vujood
mere saahir se kaho ab mujhe azaad kare
अपनी तन्हाई मिरे नाम पे आबाद करे
कौन होगा जो मुझे उस की तरह याद करे
दिल अजब शहर कि जिस पर भी खुला दर इस का
वो मुसाफ़िर इसे हर सम्त से बरबाद करे
अपने क़ातिल की ज़ेहानत से परेशान हूँ मैं
रोज़ इक मौत नए तर्ज़ की ईजाद करे
इतना हैराँ हो मिरी बे-तलबी के आगे
वा क़फ़स में कोई दर ख़ुद मिरा सय्याद करे
सल्ब-ए-बीनाई के अहकाम मिले हैं जो कभी
रौशनी छूने की ख़्वाहिश कोई शब-ज़ाद करे
सोच रखना भी जराएम में है शामिल अब तो
वही मासूम है हर बात पे जो साद करे
जब लहू बोल पड़े उस के गवाहों के ख़िलाफ़
क़ाज़ी-ए-शहर कुछ इस बाब में इरशाद करे
उस की मुट्ठी में बहुत रोज़ रहा मेरा वजूद
मेरे साहिर से कहो अब मुझे आज़ाद करे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Wahshat Shayari Shayari