kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tira khayal bhi
dil ko khushi ke saath saath hota raha malaal bhi
baat vo aadhi raat ki raat vo poore chaand ki
chaand bhi ain chait ka us pe tira jamaal bhi
sab se nazar bacha ke vo mujh ko kuchh aise dekhta
ek dafa to ruk gai gardish-e-maah-o-saal bhi
dil to chamak sakega kya phir bhi taraash ke dekh len
sheesha-giraan-e-shehr ke haath ka ye kamaal bhi
us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhi
meri talab tha ek shakhs vo jo nahin mila to phir
haath dua se yun gira bhool gaya sawaal bhi
us ki sukhan-taraaziyaan mere liye bhi dhaal theen
us ki hasi mein chhup gaya apne ghamon ka haal bhi
gaah qareeb-e-shah-rag gaah baaid-e-vahm-o-khwaab
us ki rafaqaton mein raat hijr bhi tha visaal bhi
us ke hi baazuon mein aur us ko hi sochte rahe
jism ki khwahishon pe the rooh ke aur jaal bhi
shaam ki na-samajh hawa pooch rahi hai ik pata
mauj-e-hawaa-e-koo-e-yaar kuchh to mera khayal bhi
कुछ तो हवा भी सर्द थी कुछ था तिरा ख़याल भी
दिल को ख़ुशी के साथ साथ होता रहा मलाल भी
बात वो आधी रात की रात वो पूरे चाँद की
चाँद भी ऐन चैत का उस पे तिरा जमाल भी
सब से नज़र बचा के वो मुझ को कुछ ऐसे देखता
एक दफ़ा तो रुक गई गर्दिश-ए-माह-ओ-साल भी
दिल तो चमक सकेगा क्या फिर भी तराश के देख लें
शीशा-गिरान-ए-शहर के हाथ का ये कमाल भी
उस को न पा सके थे जब दिल का अजीब हाल था
अब जो पलट के देखिए बात थी कुछ मुहाल भी
मेरी तलब था एक शख़्स वो जो नहीं मिला तो फिर
हाथ दुआ से यूँ गिरा भूल गया सवाल भी
उस की सुख़न-तराज़ियाँ मेरे लिए भी ढाल थीं
उस की हँसी में छुप गया अपने ग़मों का हाल भी
गाह क़रीब-ए-शाह-रग गाह बईद-ए-वहम-ओ-ख़्वाब
उस की रफ़ाक़तों में रात हिज्र भी था विसाल भी
उस के ही बाज़ुओं में और उस को ही सोचते रहे
जिस्म की ख़्वाहिशों पे थे रूह के और जाल भी
शाम की ना-समझ हवा पूछ रही है इक पता
मौज-ए-हवा-ए-कू-ए-यार कुछ तो मिरा ख़याल भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Chehra Shayari Shayari