chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya | चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया - Parveen Shakir

chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya
ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya

ai meri gul-zameen tujhe chaah thi ik kitaab ki
ahl-e-kitaab ne magar kya tira haal kar diya

milte hue dilon ke beech aur tha faisla koi
us ne magar bichhadte waqt aur sawaal kar diya

ab ke hawa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir
baanu-e-shab ke haath mein rakhna sanbhaal kar diya

mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
hum ne to ek baat ki us ne kamaal kar diya

mere labon pe mohr thi par mere sheesha-roo ne to
shehar ke shehar ko mera waqif-e-haal kar diya

chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake
waqt ne kis shabeeh ko khwaab o khayal kar diya

muddaton ba'ad us ne aaj mujh se koi gila kiya
mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya

चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया
इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझ को निढाल कर दिया

ऐ मिरी गुल-ज़मीं तुझे चाह थी इक किताब की
अहल-ए-किताब ने मगर क्या तिरा हाल कर दिया

मिलते हुए दिलों के बीच और था फ़ैसला कोई
उस ने मगर बिछड़ते वक़्त और सवाल कर दिया

अब के हवा के साथ है दामन-ए-यार मुंतज़िर
बानू-ए-शब के हाथ में रखना सँभाल कर दिया

मुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी था
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया

मेरे लबों पे मोहर थी पर मेरे शीशा-रू ने तो
शहर के शहर को मिरा वाक़िफ़-ए-हाल कर दिया

चेहरा ओ नाम एक साथ आज न याद आ सके
वक़्त ने किस शबीह को ख़्वाब ओ ख़याल कर दिया

मुद्दतों बा'द उस ने आज मुझ से कोई गिला किया
मंसब-ए-दिलबरी पे क्या मुझ को बहाल कर दिया

- Parveen Shakir
1 Like

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari