tera ghar aur mera jungle bheegta hai saath saath | तेरा घर और मेरा जंगल भीगता है साथ साथ

  - Parveen Shakir

tera ghar aur mera jungle bheegta hai saath saath
aisi barsaatein ki baadal bheegta hai saath saath

bachpane ka saath hai phir ek se dono ke dukh
raat ka aur mera aanchal bheegta hai saath saath

vo ajab duniya ki sab khanjar-b-kaf firte hain aur
kaanch ke pyaalon mein sandal bheegta hai saath saath

baarish-e-sang-e-malaamat mein bhi vo hamraah hai
main bhi bheegoon khud bhi paagal bheegta hai saath saath

ladkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajeeb
hans rahi hain aur kaajal bheegta hai saath saath

baarishen jaade ki aur tanhaa bahut mera kisaan
jism aur iklaauta kambal bheegta hai saath saath

तेरा घर और मेरा जंगल भीगता है साथ साथ
ऐसी बरसातें कि बादल भीगता है साथ साथ

बचपने का साथ है फिर एक से दोनों के दुख
रात का और मेरा आँचल भीगता है साथ साथ

वो अजब दुनिया कि सब ख़ंजर-ब-कफ़ फिरते हैं और
काँच के प्यालों में संदल भीगता है साथ साथ

बारिश-ए-संग-ए-मलामत में भी वो हमराह है
मैं भी भीगूँ ख़ुद भी पागल भीगता है साथ साथ

लड़कियों के दुख अजब होते हैं सुख उस से अजीब
हँस रही हैं और काजल भीगता है साथ साथ

बारिशें जाड़े की और तन्हा बहुत मेरा किसान
जिस्म और इकलौता कम्बल भीगता है साथ साथ

  - Parveen Shakir

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari