december ka mahina aur dilli ki sardi | दिसम्बर का महीना और दिल्ली की सर्दी

  - Perwaiz Shaharyar

december ka mahina aur dilli ki sardi
sitaaron ki jhilmilaati jhurmut se pare
aasmaan ke ek sunsaan goshe mein
poonam ka thithurta hua koi chaand jaise
baadlon mein khaata hai mutawaatir hachkole
hawle hawle
tanhaa musaafir
aur door tak kohre ki chadar mein lipti
bal khaati sadken
dhund ki ghubaar mein khoya hua india gate
thand mein thokren khaata musaafir
khush naseeb hai
baadlon mein ghus jaata hai chaand
meri christmas ki raunqen phaili hain tamaam
sitaaron se raushan saje dhaje bazaar
lazeez khaanon ki khushbuen jahaan phaili hain har-soo
bazaar ki garm fazaaon mein
may ki sarmasti mein dooba hua hai poore shehar ka shabaab
tanhaa musaafir ki
chand roza masafat bhi kya shay hai yaaro
hum-vatanon se door
apnon se door
jamuna tat par jaise bin maanjhi ke naav
boat club ke sard paani mein jaise
tairta rukta hua koi tanhaa hubaab
tanhaa musaafir sochta hai
koi hai jis ka vo haath thaam le hawle hawle
koi hai jo us ke saath kuchh daur chale hawle hawle
dhund mein khoi hui manzilen
taveel sadken
aur tanhaa musaafir
jaise poonam ka thithurta hua koi chaand
baadlon mein khaata hai mutawaatir hachkole
hawle hawle

दिसम्बर का महीना और दिल्ली की सर्दी
सितारों की झिलमिलाती झुरमुट से परे
आसमान के एक सुनसान गोशे में
पूनम का ठिठुरता हुआ कोई चांद जैसे
बादलों में खाता है मुतवातिर हचकोले
हौले हौले
तन्हा मुसाफ़िर
और दूर तक कोहरे की चादर में लिपटी
बल खाती सड़कें
धुंद की ग़ुबार में खोया हुआ इंडिया गेट
ठण्ड में ठोकरें खाता मुसाफ़िर
ख़ुश नसीब है
बादलों में घुस जाता है चाँद
मेरी क्रिसमस की रौनक़ें फैली हैं तमाम
सितारों से रौशन सजे धजे बाज़ार
लज़ीज़ खानों की ख़ुशबुएँ जहाँ फैली हैं हर-सू
बाज़ार की गर्म फ़ज़ाओं में
मय की सरमस्ती में डूबा हुआ है पूरे शहर का शबाब
तन्हा मुसाफ़िर की
चंद रोज़ा मसाफ़त भी क्या शय है यारो!
हम-वतनों से दूर
अपनों से दूर
जमुना तट पर जैसे बिन माँझी के नाव
बोट क्लब के सर्द पानी में जैसे
तैरता रुकता हुआ कोई तन्हा हुबाब
तन्हा मुसाफ़िर सोचता है
कोई है जिस का वो हाथ थाम ले हौले हौले
कोई है जो उस के साथ कुछ दौर चले हौले हौले
धुँद में खोई हुई मंज़िलें
तवील सड़कें
और तन्हा मुसाफ़िर
जैसे पूनम का ठिठुरता हुआ कोई चाँद
बादलों में खाता है मुतवातिर हचकोले
हौले हौले

  - Perwaiz Shaharyar

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Perwaiz Shaharyar

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari