dil hi hai aaina jism ka | दिल ही है आइना जिस्म का

  - Abuzar kamaal

dil hi hai aaina jism ka
dil hi hai raasta jism ka

jism hi falsafa jism ka
jism kab hi hua jism ka

ek do baar me kab khule
ye bada mas'ala jism ka

ishq aur pyaar ke naam pe
lete hai sab maza jism ka

naam badnaam hai husn ka
kaam hai haadsa jism ka

kuchh dinon jism choona na phir
kaapna dekhna jism ka

raat saari tadapna pade
ye talab aur nasha jism ka

hont se jitna hai hont ka
rooh se fasla jism ka

saans ka silsila khatm ho
haal phir dekhna jism ka

bas hawa ki tarah bahne do
chhod do raasta jism ka

roop ka ik kamaal aur hai
ban sanwar ke hua jism ka

दिल ही है आइना जिस्म का
दिल ही है रास्ता जिस्म का

जिस्म ही फ़लसफ़ा जिस्म का
जिस्म कब ही हुआ जिस्म का

एक दो बार मे कब खुले
ये बड़ा मसअला जिस्म का

इश्क़ और प्यार के नाम पे
लेते है सब मजा जिस्म का

नाम बदनाम है हुस्न का
काम है हादसा जिस्म का

कुछ दिनों जिस्म छूना न फिर
कापँना देखना जिस्म का

रात सारी तडपना पड़े
ये तलब और नशा जिस्म का

होंठ से जितना है होंठ का
रूह से फ़ासला जिस्म का

साँस का सिलसिला ख़त्म हो
हाल फिर देखना जिस्म का

बस हवा की तरह बहने दो
छोड़ दो रास्ता जिस्म का

रूप का इक कमाल और है
बन सँवर के हुआ जिस्म का

  - Abuzar kamaal

Bechaini Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abuzar kamaal

As you were reading Shayari by Abuzar kamaal

Similar Writers

our suggestion based on Abuzar kamaal

Similar Moods

As you were reading Bechaini Shayari Shayari