badal na jaana o door rah ke | बदल न जाना ओ दूर रह के

  - Abuzar kamaal

badal na jaana o door rah ke
badal gaya khud ye baat kah ke

khilaaf awaaz to uthaati
mila bhi kya roz maar sah ke

jo milni hogi milegi manzil
karo maze raaste mein rah ke

data raha gaav baadhen aayi
chali gayeen gaav gaav bah ke

zameer khoya jo log gir gaye
koi imarat khadi thi dhah ke

बदल न जाना ओ दूर रह के
बदल गया खुद ये बात कह के

खिलाफ़ आवाज़ तो उठाती
मिला भी क्या रोज़ मार सह के

जो मिलनी होगी मिलेगी मंज़िल
करो मज़े रास्ते में रह के

डटा रहा गाँव बाढ़ें आई
चली गयीं गाँव गाँव बह के

ज़मीर खोया जो लोग गिर गए
कोई इमारत खड़ी थी ढ़ह के

  - Abuzar kamaal

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abuzar kamaal

As you were reading Shayari by Abuzar kamaal

Similar Writers

our suggestion based on Abuzar kamaal

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari