kiske khwaabon mein kho gaye hain | किसके ख़्वाबों में खो गए हैं

  - Abuzar kamaal

kiske khwaabon mein kho gaye hain
in haalaaton mein kho gaye hain

koi aaye talashe unko
meri baaton mein kho gaye hain

din mein tumhein milna nai hota
aur ab raaton mein kho gaye hain

aansu samajh ke nikala jis ne
us ke hi chashmon mein kho gaye hain

deepak dhoondhne nikle the jo
khud hi taakon mein kho gaye hain

ik chehra padhne aaye the
ham bhi kitaabon mein kho gaye hain

khatte aam to tod liye hai
meethe pedon mein kho gaye hain

sabko dariya se milna hai
sab hi lehron mein kho gaye hai

aap kamaal pe dhyaan lagaaye
aap to lafzon mein kho gaye hain

किसके ख़्वाबों में खो गए हैं
इन हालातों में खो गए हैं

कोई आए तलाशे उनको
मेरी बातों में खो गए हैं

दिन में तुम्हें मिलना नईं होता
और अब रातों में खो गए हैं

आँसू समझ के निकाला जिस ने
उस के ही चश्मों में खो गए हैं

दीपक ढूंढ़ने निकले थे जो
ख़ुद ही ताकों में खो गए हैं

इक चेहरा पढ़ने आए थे
हम भी किताबों में खो गए हैं

खट्टे आम तो तोड़ लिए है
मीठे पेड़ों में खो गए हैं

सबको दरिया से मिलना है
सब ही लहरों में खो गए है

आप कमाल पे ध्यान लगाए
आप तो लफ़्ज़ों में खो गए हैं

  - Abuzar kamaal

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abuzar kamaal

As you were reading Shayari by Abuzar kamaal

Similar Writers

our suggestion based on Abuzar kamaal

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari