jab dekha unki aankhon mein mausam bahaar ke
shaauq-e-dil ye rukh dekhoon kaaghaz pe utaar ke
main kya kuchh kah doon us ik aan ki nazaakat pe
jhukti hain unki nazrein jab mujhko pukaar ke
ye saaz-e-lab hain unke ya hai sheet raagini
choo kar jo aise guzre hain ye dhun sitaar ke
aahaa vo kya shab vo manzar vo rang-e-andaaz
yun dekhe hain jab vo mujh ko gesu sanwaar ke
hai ye unka vaada aayenge aaj neend mein
par sone ki furqat to den ye din khumaar ke
ya rab likh de unki qurbat mere naseeb mein
mushkil hai jeena aise tasveerein nihaar ke
जब देखा उनकी आँखों में मौसम बहार के
शौक़-ए-दिल ये रुख़ देखूँ काग़ज़ पे उतार के
मैं क्या कुछ कह दूँ उस इक आन की नज़ाकत पे
झुकती हैं उनकी नज़रें जब मुझको पुकार के
ये साज़-ए-लब हैं उनके या है शीत रागिनी
छू कर जो ऐसे गुज़रे हैं ये धुन सितार के
आहा वो क्या शब वो मंज़र वो रंग-ए-अंदाज़
यूँ देखे हैं जब वो मुझ को गेसू सँवार के
है ये उनका वादा आएँगे आज नींद में
पर सोने की फ़ुर्सत तो दें ये दिन ख़ुमार के
या रब लिख दे उनकी क़ुर्बत मेरे नसीब में
मुश्किल है जीना ऐसे तस्वीरें निहार के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prakash Pandey
our suggestion based on Prakash Pandey
As you were reading Neend Shayari Shayari