ek farishte ka kirdaar hona padta hain | एक फ़रिश्ते का किरदार होना पड़ता हैं - Praveen Bhardwaj

ek farishte ka kirdaar hona padta hain
yaaron dosti mein wafaadar hona padta hain

koi chitthi jawaab mein khairiyat nahin poochhti
iske liye humein ab beemaar hone padta hain

ab har roz doston se milne ke khaatir
har ek subah humein akhbaar hona padta hain

jaane kyun sach mein is kadar manhoosiyat hain
jab bhi bolo to darkinaar hona padta hain

ek taraf hum hain aur ek taraf hain gham
bhari mehfil mein yaar sarmaasar hona padta hain

khwaab tha ki is paar kaate poori zindagi
magar tera sitam hain us paar hona padta hain

एक फ़रिश्ते का किरदार होना पड़ता हैं
यारों दोस्ती में वफ़ादार होना पड़ता हैं

कोई चिठी जवाब में ख़ैरियत नहीं पूछती
इसके लिए हमें अब बीमार होने पड़ता हैं

अब हर रोज दोस्तों से मिलने के खातिर
हर एक सुबह हमें अखबार होना पड़ता हैं

जाने क्यों 'सच' में इस कदर मनहूसियत हैं
जब भी बोलो तो दरकिनार होना पड़ता हैं

एक तरफ़ हम हैं और एक तरफ़ हैं ग़म
भरी महफ़िल में यार सर्मसार होना पड़ता हैं

ख़्वाब था कि इस पार काटे पूरी ज़िंदगी
मग़र तेरा सितम हैं, उस पार होना पड़ता हैं

- Praveen Bhardwaj
2 Likes

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Praveen Bhardwaj

As you were reading Shayari by Praveen Bhardwaj

Similar Writers

our suggestion based on Praveen Bhardwaj

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari