yaad aate rahe bhulaane par
zakhm de dard sookh jaane par
mere apnon ne tanhaa chhodaa hai
ab bharosa nahin zamaane par
khwahishon ka kahin sira na mile
zindagi dhundhte muhaane par
waqt rukta bhi to nahin hai kabhi
ye samajh aaya aazmaane par
preet gham kii na kar numaaish yun
kaun karta yaqeen fasaane par
याद आते रहे भुलाने पर
ज़ख़्म दे दर्द सूख जाने पर
मेरे अपनों ने तन्हा छोड़ा है
अब भरोसा नहीं ज़माने पर
ख़्वाहिशों का कहीं सिरा न मिले
ज़िंदगी ढूँढते मुहाने पर
वक़्त रुकता भी तो नहीं है कभी
ये समझ आया आज़माने पर
प्रीत ग़म की न कर नुमाइश यूँ
कौन करता यक़ीं फ़साने पर
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari