yahi to chalta bashar teri zindagaani mein | यही तो चलता बशर तेरी ज़िंदगानी में

  - Harpreet Kaur

yahi to chalta bashar teri zindagaani mein
guzarti umr mukammal sii ho kahaani mein

sukoon to kahin milta hi to nahin yaaron
bahe ye man yun samandar kii ab rawaani mein

na rab mila na sanam mera ho saka haasil
luta diya khudi ko ishq naam faani mein

kisi ko haal na dil ka suna bhi paate hai
rahe jo bekhudi mein yaad vo puraani mein

machalte aise hain armaan to preet ke lagta
lagi ho aag sii dariya ke gehre paani mein

यही तो चलता बशर तेरी ज़िंदगानी में
गुज़रती उम्र मुकम्मल सी हो कहानी में

सुकून तो कहीं मिलता ही तो नहीं यारों
बहे ये मन यूँ समंदर की अब रवानी में

न रब मिला न सनम मेरा हो सका हासिल
लुटा दिया ख़ुदी को इश्क़ नाम फ़ानी में

किसी को हाल न दिल का सुना भी पाते है
रहे जो बेख़ुदी में याद वो पुरानी में

मचलते ऐसे हैं अरमाँ तो 'प्रीत' के लगता
लगी हो आग सी दरिया के गहरे पानी में

  - Harpreet Kaur

More by Harpreet Kaur

As you were reading Shayari by Harpreet Kaur

Similar Writers

our suggestion based on Harpreet Kaur

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari