din chhupa aur gham ke saaye dhale | दिन छुपा और ग़म के साए ढले

  - Qabil Ajmeri

din chhupa aur gham ke saaye dhale
aarzoo ke naye charaagh jale

ham badalte hain rukh hawaon ka
aaye duniya hamaare saath chale

lab pe hichki bhi hai tabassum bhi
jaane ham kis se mil rahe hain gale

dil ke in hauslon ka haal na pooch
jo tire daaman-e-karam mein pale

kaun yaad aa gaya azaan ke waqt
bujhta jaata hai dil charaagh jale

maslahat sar-nigoon khird khaamosh
ishq ke aage kis ki daal gale

दिन छुपा और ग़म के साए ढले
आरज़ू के नए चराग़ जले

हम बदलते हैं रुख़ हवाओं का
आए दुनिया हमारे साथ चले

लब पे हिचकी भी है तबस्सुम भी
जाने हम किस से मिल रहे हैं गले

दिल के इन हौसलों का हाल न पूछ
जो तिरे दामन-ए-करम में पले

कौन याद आ गया अज़ाँ के वक़्त
बुझता जाता है दिल चराग़ जले

मस्लहत सर-निगूँ ख़िरद ख़ामोश
इश्क़ के आगे किस की दाल गले

  - Qabil Ajmeri

Hug Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Hug Shayari Shayari