ghar se main jab bhi akela nikla | घर से मैं जब भी अकेला निकला

  - Qaisar Siddiqi

ghar se main jab bhi akela nikla
mujh se pehle mera saaya nikla

faad kar daaman-e-sehra nikla
mere andar se jo dariya nikla

ik tabassum jo mila tha mujh ko
vo bhi ik zakhm-e-tamanna nikla

jis pe kal sang-e-malaamat barase
aaj vo daar pe eesa nikla

aaina dekha jo uryaan ho kar
jism hi jism ka parda nikla

jis ne ye bheed laga rakhi thi
khud vo us bheed mein tanhaa nikla

chehra ijaad hai aaine ki
aaina nikla to chehra nikla

aaj ik khat ko jo khola qaisar
us mein suraj ka saraapa nikla

घर से मैं जब भी अकेला निकला
मुझ से पहले मिरा साया निकला

फाड़ कर दामन-ए-सहरा निकला
मेरे अंदर से जो दरिया निकला

इक तबस्सुम जो मिला था मुझ को
वो भी इक ज़ख़्म-ए-तमन्ना निकला

जिस पे कल संग-ए-मलामत बरसे
आज वो दार पे ईसा निकला

आइना देखा जो उर्यां हो कर
जिस्म ही जिस्म का पर्दा निकला

जिस ने ये भीड़ लगा रक्खी थी
ख़ुद वो उस भीड़ में तन्हा निकला

चेहरा ईजाद है आईने की
आइना निकला तो चेहरा निकला

आज इक ख़त को जो खोला 'क़ैसर'
उस में सूरज का सरापा निकला

  - Qaisar Siddiqi

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qaisar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari