ye raaste mein kis se mulaqaat kar li
kahaan rah gaye the badi raat kar li
shab-e-gham kabhi dar ko uth uth ke dekha
kabhi un ki tasveer se baat kar li
ham ahl-e-junoon ka thikaana na poocho
kahi din nikala kahi raat kar li
chale aaye moosa ko jalwa dikhaane
qayamat se pehle mulaqaat kar li
qamar apne ghar un ko mehmaan bula kar
bila chaand ke chaandni raat kar li
ये रस्ते में किस से मुलाक़ात कर ली
कहाँ रह गए थे बड़ी रात कर ली
शब-ए-ग़म कभी दर को उठ उठ के देखा
कभी उन की तस्वीर से बात कर ली
हम अहल-ए-जुनूँ का ठिकाना न पूछो
कहीं दिन निकाला कहीं रात कर ली
चले आए मूसा को जल्वा दिखाने
क़यामत से पहले मुलाक़ात कर ली
'क़मर' अपने घर उन को मेहमाँ बुला कर
बिला चाँद के चाँदनी रात कर ली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading Baaten Shayari Shayari